Roman Urdu
Goongi Ho Gayi Aaj Kuch Zuban Kehte Kehte,
Hichkicha Gaya Main Khud Ko Musalman Kehte Kehte.
Ye Baat Nahi Ke Mujh Ko Us Par Yaqeen Nahi,
Bas Dar Gaya Khud Ko Sahib-E-Imaan Kehte Kehte.
Taufeeq Na Hui Mujhe Ek Waqt Ki Namaz Ki,
Aur Chup Hua Moazzan Azaan Kehte Kehte.
Kisi Kafir Ne Jo Pucha K Ye Kya He Mahina,
Sharam Se Pani Hua Main Ramzaan Kehte Kehte.
Meri Almari Me Gard Se Ati Kitaab Ka Jo Pucha,
Main Garh Gaya Zameen Me Quraan Kehte Kehte.
Ye Sab Sun Ke Chup Saadh Li "IQBAL" Us Ne,
Yun Laga Jaise Ruk Gaya Ho Mujhe Haiwaan Kehte Kehte.