Showing posts with label Poetry. Show all posts
Showing posts with label Poetry. Show all posts

Monday, August 15, 2011

Goongi ho Gayee Aaj Kuch Zaban - Allama Iqbal



Roman Urdu

Goongi Ho Gayi Aaj Kuch Zuban Kehte Kehte,
Hichkicha Gaya Main Khud Ko Musalman Kehte Kehte.

Ye Baat Nahi Ke Mujh Ko Us Par Yaqeen Nahi,
Bas Dar Gaya Khud Ko Sahib-E-Imaan Kehte Kehte.

Taufeeq Na Hui Mujhe Ek Waqt Ki Namaz Ki,
Aur Chup Hua Moazzan Azaan Kehte Kehte.

Kisi Kafir Ne Jo Pucha K Ye Kya He Mahina,
Sharam Se Pani Hua Main Ramzaan Kehte Kehte.

Meri Almari Me Gard Se Ati Kitaab Ka Jo Pucha,
Main Garh Gaya Zameen Me Quraan Kehte Kehte.

Ye Sab Sun Ke Chup Saadh Li "IQBAL" Us Ne,
Yun Laga Jaise Ruk Gaya Ho Mujhe Haiwaan Kehte Kehte.

Monday, March 28, 2011

Kesaa Lagaa !

Aakhrat Ko Bhul Betha Fikar-E-Dunya K Evaz,
Mout Ka Hamla Achanak Be'khabr kesaa laga!


Han$te Han$te Tu Ne Dunya Main Guzari Zindagi,
Ab Naya Zer-E-Zameen Ye Tang Ghar Ke$a Laga?


Dafan Kar K Qabar Main $ab Be-rukhi $e Chal Diye,
Ji$ $e Tu Maanoo$ Tha ab Wo Ba$har Ke$a laga?

Tu Han$a Karta Tha Auron Ko Pare$han Dekh Kar,
Chal Diya Apno Ko Rota Chor kar Ke$a Laga?

Ab Na Wo Takya Mulaim or Na Wo Bi$tar Naram,
Ji$m Par 2 Gaz Kafan Mitti Par $ir Ke$a Laga?


Ek Bar Ye Ta$awur Kar K Aaj Teri Akhri Raat Hai,
$ubah To Qabar Main Hoga Or $amne ALLAH K Hoga,


Apne Aimalon Ko Jhanjoor Or Ab Bata
Ke$a laga?






Thursday, February 24, 2011

Allah kee Maaan Ley !

Us WaQt Ki Yaad Kar Zara Taaza,
.
Jab Uthaya Jaye Ga Tera Janaza,
.
Terey Chahney Waaley Tujh Par Aanso Bahaingey,
.
Is Sey Ziyada Kuch Na Kar Pyengey,
.
Phir Tujhe Nehla Kar Or Kafan Pehna Kar,
.
Qabar Ke Garhay Mein Jab Dafnaegey,
.
Phir Kuch Din Bhi Na Guzar Paengey,
.
Yehi Log QehQahe Lgaengey,
.
Marney Walo Ke Sath Kon Marta Hai,
.
Qabron Pey Phir Kon Aaya Karta Hai,
.
Tujhey Marey Hue Jab Zamaney Guzar Jaengey,
.
Log Tera Naam Bhi Bhool Jaengey,
.
Bus Yehi Hai Haqiqt Duniya Ki Khoob Jaan Ley,
.
Kamyabi Chahta Hai To ALLAH Ki Maan Le

Thursday, March 4, 2010

The difference between a wedding and a funeral

FARQ SIRF ITNA SA THA

Teri doli uthi,
Meri mayyat uthi,
Phool tujh par bhi barse,
Phool mujh par bhi barse,

FARQ SIRF ITNA SA THA
Tu saj gayi,
Mujhe sajaya gaya .

Tu bhi ghar ko chali,
Main bi ghar ko chala,

FARQ SIRF ITNA SA THA
Tu uth ke gayi,
Mujhe uthaya gaya .

Mehfil wahan bhi thi,
Log yahan bhi the,

FARQ SIRF ITNA SA THA
Unka hasna wahan,
Inka rona yahan.

http://picsrc.net/images/glitterComment.gif
Qazi udhar bhi tha, Molvi idhar bhi tha,
Do bol tere pade, Do bol mere pade,
Tera nikah pada, Mera janaaza pada,

FARQ SIRF ITNA SA THA
Tujhe apnaya gaya,
Mujhe dafnaya gaya.