Monday, August 15, 2011

Goongi ho Gayee Aaj Kuch Zaban - Allama Iqbal



Roman Urdu

Goongi Ho Gayi Aaj Kuch Zuban Kehte Kehte,
Hichkicha Gaya Main Khud Ko Musalman Kehte Kehte.

Ye Baat Nahi Ke Mujh Ko Us Par Yaqeen Nahi,
Bas Dar Gaya Khud Ko Sahib-E-Imaan Kehte Kehte.

Taufeeq Na Hui Mujhe Ek Waqt Ki Namaz Ki,
Aur Chup Hua Moazzan Azaan Kehte Kehte.

Kisi Kafir Ne Jo Pucha K Ye Kya He Mahina,
Sharam Se Pani Hua Main Ramzaan Kehte Kehte.

Meri Almari Me Gard Se Ati Kitaab Ka Jo Pucha,
Main Garh Gaya Zameen Me Quraan Kehte Kehte.

Ye Sab Sun Ke Chup Saadh Li "IQBAL" Us Ne,
Yun Laga Jaise Ruk Gaya Ho Mujhe Haiwaan Kehte Kehte.

6 comments:

  1. NOT FROM ALLAMA IQBAL.

    ReplyDelete
    Replies
    1. Allama Iqbal k naam se q likhi hay
      aur real may kis sha'ir ki hay ye nazm

      Delete
    2. Its Iqbal's poetry and dear brthrs n sistrs its 100& true about today's type of Muslims. In this, Iqbal is exposing the reality of our faith.....ap zara samaj k parhain k #iqbal ny kaha kya hai....#thnxxx

      Delete
  2. shair ka sahi naam kia hay phir

    ReplyDelete
  3. Why do people use names of great personalities to share their view ?
    The message of this poem is very good and would really want to know the poet.
    But surely, he is not Allama Iqbal

    ReplyDelete